SAI KASHT NIVARAN MANTRA

SAI KASHT NIVARAN MANTRA in Hindi

SAI KASHT NIVARAN MANTRA

Sadguru sainaath maharaj ki jai
Kashton ki kali chaya dukhdayi hai
Jeewan me ghor udasi layi hai
Sankat ko talo sai duhai hai
Tere siwa na koi sahayi hai
Mere man teri surat samai hai
Har pal har kshan mahima gayi hai
Ghar mere kashton ki aandhi aayi hai
Aapne kyun meri sudh bhulayi hai
Tum bholenaath ho daya nidhan ho
Tum hanuman ho maha balwan ho
Tumhi ram aur shyam ho
Saare jagat mein tum sabse mahan ho
Tumhi mahakali tumhi maa shaarde
Karta hoon prarthna bhav se taar de
Tumhi mohhammad ho gareeb nawaz ho
Nanak ki vani mein eesa ke saath ho
Tumhi digambar tumhi kabir ho
Ho budh tumhi aur mahaveer ho
Saare jagat ka tumhi aadhar ho
Niraakar bhi aur saakar ho
Karta hu vandana prem vishwas se
suno sai allah ke vaste
adharo pe mere nhi muskaan hai
Ghar mera banna laga shamshan hai
Reham nazar karo ujre viran pe
Zindagi sawaregi ek vardan se
Paapo ki dhoop se tan laga haarne
Aapka ye das laga pukaarne
Aapne sada hi laaj bachayi hai
Der na ho jaaye man shankayi hai
Dheere dheere dheeraj hi khota hai
man me basa vishwas hi rota hai
meri kalpana saakar kar do
sooni zindagi me rang bhar do
dhote dhote paapon ka bhaar zindagi se
main gaya haar zindagi se
naath avgun ab to bisaaro
kashton ki lehar se aake ubaaro
karta hu paap main paapo ki khan hu
gyani tum gyaneshwar main agyan hu
karta hu pag pag par paapo ki bhool main
taar do jeewan charno ki dhool se
tumne ujda hua ghar basaya
paani se Deepak bhi tumne jalaya
tumne hi shirdi ko dhaam banaya
chhote se gaon mein swarg sajaya
kasht paap shrap utaro
prem daya drishti se nihaaro
aapka daas hu aise naa taaliye
girne laga hu sai sambhaliye
saiji balak main anaath hu
tere bharose rehta din raat hu
jaisa bhi hoon, hoon to aapka
keeje nivaran mere santaap ka
tu hai sawera aur main raat hoon
mel nhi koi phir bhi saath hoon
saiji mujhse mukh naa modo
beech majhdaar akela na chodo
aapke charno mein base pran hain
tere vachan mere guru saman hain
aapki raah pe chalta daas hai
khushi nhi koi jeewan udas hai
aansoo ki dhaara mein doobta kinaara
zindagi mein dard , nhi guzaara
lagaya chaman to phool khilaao
phool khile hai to khushboo bhi laao
kar do ishara to baat ban jaye
jo kismat me nhi wo mil jaaye
beeta zamana ye gaake fasana
sarhade zindagi maut tarana
der to ho gayi hai andher na ho
fikr mile lekin fareb na ho
deke taalo ya daaman bacha lo
hilne lagi rehnumayi sambhalo
tere dam pe allah ki shaan hai
sufi santon ka ye bayan hai
gareebon ki jholi me bhar do khazana
zamane ke wli na karo bahana
dar ke bhikhari hain mohtaaj hain hum
shehenshahe aalam karo kuch karam
tere khazaane mein allah ki rehmat
tum sadguru saiji ho samarth
aaye ho dharti pe dene sahara
karne lage kyun humse kinaara
jab tak ye brahmand rahega
sai tera naam rahega
chaand sitare tumhe pukaarenge
janmojanam hum rasta nihaarenge
aatma badlegi chole hazar
hum milte rahenge baarambar
aapke kadmo mein baithe rahenge
dukhde dil ke kehete rahenge
aapki marzi hai do ya na do
hum to kahenge daaman hi bhar do
tum ho data hum hain bhikhaari
sunte nhi kyun araz hmari
achchha chalo ek baat bta do
kya nhi tumhaare paas bta do
jo nhi dena hai inkaar kar do
khatam ye aapas ki takrar kar do
laut k khali chala jaaunga
phir bhi gun tere gaaunga
jab tak kaaya hai tab tak maaya hai
isi mein dukhon ka mool samaya hai
sab kuch jaan ke anjaan hu main
allah ki tu shaan teri shaan hu main
tera karam sada sabpe rahega
ye chakra yug yug chalta rahega
jo prani gayega saiji tera naam
usko mukti mile pahuche param dhaam
ye mantra jo praani nit din gaayege
raahu ketu shaani nikat na aayenge
tal jaayenge sankat saare
ghar mein vaas Karen sukh saare
jo shraddha se karega pathan
us par dev sabhi ho prasann
rog samool nasht ho jayenge
kasht nivaaran mantra jo gaayenge
chinta harega nivaran jaap
pal mein door ho sab paap
jo ye pustak nit din baanche
shri lakhmi ji ghar uske sada viraaje
gyan buddhi praani wo paayega
kasht nivaran mantra jo dhyayega
ye mantra bhakto kamal karega
aayi jo anhoni to taal dega
bhoot prêt bhi rahenge door
is mantra mein sai shakti bharpoor
japte rahe jo mantra agar
jaado tona bhi ho beasar
is mantra mein sab gun samaye
na ho bharosa to aazmaye
ye mantra saiji vachan hi jaano
swayam amal kar satya pehchaano
sanshay na laana vishwas jagana
ye mantr sukhon ka hai khazana
is pustak mein saiji ka vas
jai saiji shri sai jai jai sai

Read More:- SAI CHALISA

Read Also:- 10 lines essay

Leave a Reply